Powered by Blogger.
alt text

Ek Villain

Hindi Movie Ek Villain

EK VILLAIN
alt text

Tab number #2

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Proin et felis eget tellus pharetra porttitor. Praesent dui arcu, egestas quis, adipiscing a.

Link #2

Most Popular Lyrics

Recent Uploaded

DARD LYRICS – SARBJIT | SONU NIGAM

  • Sunday, April 24, 2016
  • by
  • Admin
  • Dard Lyrics from Sarbjit starring Randeep Hooda, Aishwarya Rai Bachchan, Richa Chadda sung by Sonu Nigam, composed by Jeet Gannguli with lyrics written by Jaani, Rashmi Virag.
    Singer: Sonu Nigam
    Music: Jeet Gannguli
    Lyrics: Jaani, Rashmi Virag
    Music Label: T-Series

    Dard Lyrics

    Main dardon ko paas bitha kar hi soun
    Main dardon ko paas bitha kar hi soun
    Jo tujhe lagta baarish hai
    Wo main hoon jo roun
    Jo tujhe lagta baarish hai
    Wo main hoon jo roun
    Main dardon ko paas bitha kar hi soun
    Khushiyon se milna bhool gaye
    Tum itna kyun humse door gaye
    Koi kiran ik din aayegi
    Tum tak humko leke jaayegi
    Main raah pe aankh bicha ke hi soun
    Main raah pe aankh bicha ke hi soun
    Jo tujhe lagta baarish hai
    Wo main hoon jo roun
    Jo tujhe lagta baarish hai
    Wo main hoon jo roun
    Main dardon ko paas bitha kar hi soun
    Pankh jo hote
    Udd ke chala main aata
    Rukta na ek pal
    Qaid ye kaisi Khuda
    Saans bhi roothi hai
    Seene mein aaj kal
    Aaj kal, aaj kal, aaj kal
    Aaj kal, aaj kal, aaj kal
    Main dardon ko paas bitha kar hi soun
    Main dardon ko paas bitha kar hi soun
    Jo tujhe lagta baarish hai
    Wo main hoon jo roun
    Jo tujhe lagta baarish hai
    Wo main hoon jo roun
    Main dardon ko paas bitha kar hi soun
    Read More...

    DIL BEQASOOR LYRICS - Lekar Hum Deewana Dil | Shweta Pandit, Nakash Aziz

  • Sunday, June 15, 2014
  • by
  • Admin

  • Dil Bekasoor Lyrics from Lekar Hum Deewana Dil (2014 Movie): The song is sung by Shweta Pandit & Nakash Aziz, composed by AR Rahman while lyrics of Dil Beqasoor hai kitna are penned by Amitabh Bhattacharya.
    Song Title: Beqasoor
    Movie: Lekar Hum Deewana Dil (2014)
    Singers: Shweta Pandit, Nakash Aziz
    Music: A.R. Rahman
    Lyrics: Amitabh Bhattacharya
    Starring: Armaan Jain & Deeksha Seth
    Music Label: Eros

    Dil Beqasoor Lyrics

    Dil beqasoor hai kitna
    Par hai ye zaroor hai fitna
    Jaane ye jalna, seekhe na bujhna
    Meethi si zidd hai sajna
    Zidd ki hadd hai sajna (x2)

    Kyun dil bezubaan hai itna
    Uspe hai gumaan bhi utna
    Jaane ye katna, seekhe na judna
    Meethi si zidd hai sajna
    Zidd ki hadd hai sajna

    (Ye bekhudi juda juda
    Deewangi mila mila,
    Jahaan basera wahin tera kyun*
    Zidd ki hadd hai sajna)

    Gulmohar ki tehni se bichda sa
    Patjhar ki sohbat mein zameen pe bikhra sa
    hai manmouji sholon ke dariya mein shabnam si boondon ki ummeed mein utra sa
    Jitna batore utna hi khoye
    Utna bikhere jitna piroye

    Dil belagaam hai jitna
    Apna khud hi gulaam hai utnaa
    Kyun dil bezubaan hai itna
    Uspe hai gumaan bhi utna
    Jaane ye katna, seekhe na judna
    Meethi si zidd hai sajna
    Zidd ki hadd hai sajna

    (Ye bekhudi juda juda
    Deewangi mila mila,
    Jahaan basera wahin tera kyun*
    Zidd ki hadd hai sajna)



    Read More...

    ALAAHDA LYRICS - Lekar Hum Deewana Dil | AR Rahman, Shiraz Uppal

  • by
  • Admin
  • Allahda Lyrics
    Ala hada / Alahada / Alaahda Lyrics from Lekar Hum Deewana Dil (2014 Movie): A sad heartbreak song on separation beautifully written by Amitabh Bhattacharya. Alahda is sung by Raanjhanaa singer Shiraz Uppal from Pakistan and it's composed by AR Rahman.
    Alaahda Meaning: Separate / अलग / जुदा
    Singer: Shiraz Uppal 
    Music: A.R. Rahman
    Lyrics: Amitabh Bhattacharya
    Starring: Armaan & Deeksha
    Music Label: Eros

    Allahda Lyrics

    Alaahda Alaahda
    Huey toh hain Alaahda
    Poori tarha magar nahin
    Huey hain kyun Alaahda
    Alahada Alahada
    Hain naam se Alaahda
    Judi huyi hai rooh toh
    Hain naam ke Alaahda
    Tere bagair.. jeena lagta hai khaali
    Dil hai magar.. seena lagta hai khaali

    Meri gali alaahda
    Tera shehar alaahda
    Yaadon ka hai pata wohi
    Jahaan huve alaahda
    Tere bagair.. jeena lagta hai khali
    Dil hai magar.. seena lagta hai khali

    Din raat adhoorapan cheere
    Zang lage khuroor ki dhaar se
    Takiye ka neend se toh jhagda hua sa hai
    Kaante ghadiyon ke dheere
    Chale hain kyon?
    Chale hain kyon waqt se?
    Tere bagair.. jeena lagta hai khaali
    Dil hai magar.. seena lagta hai khaali


    Alaahda Alaahda
    Huey toh hain Alaahda
    Poori tarha magar nahin
    Huey hain kyun Alaahda
    Alahada Ala hada
    Hain naam se Alaahda
    Judi huyi hai rooh toh
    Hai naam ke Alaahda
    Tere baghair.. jeena lagta hai khaali
    Dil hai magar.. seena lagta hai khaali

    Tere baghair.. jeena lagta hai khali
    Dil hai magar.. seena lagta hai khali
    Seena lagta hai khaali..



    Read More...

    MAALOOM LYRICS - Lekar Hum Deewana Dil Song (AR Rahman)

  • by
  • Admin
  • Maloom Lyrics
    Bas Itna Hi Maaloom Lyrics from Lekar Hum Deewana Dil (2014 Movie): A beautiful / happy / romantic song sung by Hriday Gattani & Jonita Gandhi, compsoed by AR Rahman while Maloom lyrics are penned by Amitabh Bhattacharya.
    Song Title: Maaloom
    Movie: Lekar Hum Deewana Dil (214)
    Singers: Hriday Gattani, Jonita Gandhi
    Music: A.R. Rahman
    Lyrics: Amitabh Bhattacharya
    Starring: Armaan & Deeksha
    Music Label: Eros

    Maloom  Lyrics

    oo oo.. oo oo..

    Paisa vaisa kya pata
    Kaun kaisa kya pata
    Zinda hoon aaj main
    Iss se zyada kya pata

    Mera toh zamaane se
    Lena dena hi nahin
    Yaara gustakhi maaf
    Itna hi maaloom..
    Jispe bhi tu sath ho
    Bas itna hi maaloom
    Yaqeen hai wahin hai
    Meri manzil ka raasta..
    Meri manzil ka raasta..

    Oooh ooh ooh...
    Meri manzil ka raasta..
    Meri manzil ka raasta..

    Oooh ooh ooh...
    Taare kaise bhala
    Hain todte kya pata
    Taare mil bhi gaye toh
    Tu karegi bhi kya

    Main gair maamooli kartab dikha karke
    Saabit karun bol kya ?
    Kya hai tu mere liye seedhe saade se
    Lafzon mein sun le zara

    ha ha ha...
    la la la aa...

    Kasmein kya pata
    Reet rasmein kya pata
    Sachche pyaar ki
    Kismein-vismein kya pata

    Mera toh zamaane se
    Lena dena hi nahin
    Yaara gustakhi maaf
    Itna hi maloom..
    Jispe bhi tu sath ho
    Bas itna hi maaloom
    Yaqeen hai wahin hai
    Meri manzil ka raasta..
    Manzil ka raasta..



    Read More...

    LEKAR HUM DEEWANA DIL - All Songs LYRICS & VIDEOS | AR Rahman

  • by
  • Admin

  • Lekar Hum Deewana Dil Songs Lyrics & Videos: LHDD is a Bollywood romantic drama directed by Imtiaz Ali's brother Arif Ali. The film is produced by Saif Ali Khan, Dinesh Vijan and Sunil Lulla under the banner of Eros International and Illuminati Films. It introduces Armaan Jain and Deeksha Seth. The soundtrack is composed by AR Rahman - album has six songs all written by Amitabh Bhattacharya.
    Lekar Hum Deewana Dil Lyrics and videos can be seen through below songs list.

    Lyrics & Videos: Lekar Hum Deewana


    1. Khalifa - AR Rahman
    2. Maloom - Hriday Gattani, Jonita Gandhi
    3. Alaahda - Shiraz Uppal
    4. Mawali Qawwali - Raghav Mathur, Tanvi Shah
    5. Beqasoor - Shweta Pandit, Nakash Aziz
    6. Tu Shining - Hriday Gattani

    Read More...

    KHALIFA LYRICS - AR Rahman | Lekar Hum Deewana Dil (2014 Movie Song)

  • by
  • Admin
  • khalifa Lyrics
    Khaleefa Khalifa Lyrics from Lekar Hum Deewana Dil (2014 Movie): The song is sung & compsoed by AR Rahman while its lyrics are penned by Amitabh Bhattacharya.
    Song Title: Khaleefa
    Movie: Lekar Hum Deewana Dil (214)
    Singer: A.R. Rahman
    Music: A.R. Rahman
    Lyrics: Amitabh Bhattacharya
    Starring: Armaan & Deeksha
    Music Label: Eros

    Khalifa Lyrics

    gignan gignan ganan...
    Khalee.. Khalee.. Khalee.. Khaleefa
    Khalee.. Khalee.. Khalee.. Khaleefa

    No Gyaan non lecture no paabandi
    Dadagiri and stuff and naakabandi
    Jitna kaam utne daam
    Namak zyada sugar kam
    Lafdebaz bigdey baap ki aulaad hain
    Faulaadi attitude le ke chalein dekho
    This thing kabhi that thing
    Karein one thing karein in thing
    But nothing nothing nothing much!

    Khalifa khalifa khaleefa bade
    Karam-jale hain
    Aye, Khalifa khalifa khalifa bade
    Kadam chale hain
    Jokham hardam hardam jokham
    Humein yehi talab hai
    Jaise tevar waise mausam
    Ye rutbaa alag hai.. (x2)

    Khalifa khalifa khaleefa bade...

    m..m..m..mojo mantra
    m..m..m..mojo mantra
    Can't make you compety
    Computer Sanskriti
    We got the mojo mantra
    * to in-dependancy
    Raga to reggaeton
    Rig veda to proton
    We got the real dooby
    Baaqi duniya put on..

    Aasmaan zara nichod ke
    O.. pee gaye sharbat neela
    O.. sooraj ka ek tukda
    Baadal ka ek tukda
    Do ungliyon se pakda, chaba liya

    Khalifa khalifa khalifa bade
    (Karam-jale hain)
    Khalifa khalifa khalifa bade
    (Kadam chale hain)
    Jokham hardum hardum jokham
    Humein yahi talab hai
    Jaise tevar waise mausam
    Ye rutbaa alag hai..

    No Gyaan non lecture no paabandi
    Dadagiri and stuff and naakabandi (x2)

    Jitna kaam utne daam
    Namak zyada sugar kam
    Lafdebaz bigdey baap ki aulaad hain
    Faulaadi attitude le ke chalein dekho..

    This thing kabhi that thing
    Karein one thing karein in thing
    But nothing nothing nothing much!

    gignan gignan ganan...

    Khalifa khalifa khalifa bade
    (Karam-jale hain)
    Khalifa khalifa khalifa bade
    (Kadam chale hain)
    Jokham hardum hardum jokham
    Humein yahi talab hai
    Jaise tevar waise mausam
    Ye rutbaa alag hai..

    Khalifa khalifa khalifa bade
    O..

    Khalifa khalifa khalifa bade



    Read More...

    JASHN LYRICS - Bobby Jasoos Song | Shreya Ghoshal

  • by
  • Admin
  • Jashn lyrics
    Jashn Lyrics from Bobby Jasoos (2014 Movie): Jashn is sung by Shreya Ghoshal, composed by Shantanu Moitra while its lyrics are penned by Swanand Kirkire.
    Song Title: Jashn
    Movie: Bobby Jasoos (2014)
    Singer: Shreya Ghoshal
    Music: Shantanu Moitra
    Lyrics: Swanand Kirkire
    Starring: Vidya Balan, Ali Fazal
    Music Label: T-Series

    Tu Shing Lyrics

    Sun lo shehanai khushiyon ki bajegi
    Sun lo ummeedein dulhin si sajengi
    Sun lo kaali si, shab ke paar se
    Dekho chanda ki humein jhalak dikhegi

    Ummeedon ke dar pe haule se aake
    Khwabon ne dastak di
    Mauka mila hai, ab jee bhar ke jee lo
    Na fiqr karo kal ki

    Dil ye gungunaaye, ainve muskuraye
    Jashn hai ye mere dil ka
    Ude bin par lagaaye
    Koi aade na aaye
    Jashn hai ye mere dil ka

    Poori hui meri har ik duaa
    Manzil tak pahunchi hai meri lagan

    Apnon ke sapne hi sapne hain mere
    Karungi main poore sabke sapan
    Aansu se dho dungi maathe ki salvat
    Muska ke poochungi har ek shikan
    Wo khushiyan kya jo baanti nahin
    Jitni baantu main utni badhe
    Woh ankhiyan hi kya jo chhalke nahin
    Aankhe khushiyon se jhar jhar bahe

    Dil ye gungunaaye, ainve muskuraye
    Jashn hai ye mere dil ka
    Aaha jashn jashn
    Arey haan jashn jashn
    Jashn hai ye mere dil ka



    Read More...